Friday, April 20, 2007

Waqt Ne Kiya

Waqt ne kiya kya haseen sitam,
Tum rahe na tum, hum rahe na hum.

Bekaraar dil is tarha mile,
Jis tarha kabhee hum juda na the.
Tum bhi kho gaye,hum bhi kho gaye,
Ek raah par chalke do kadam.

Waqt ne kiya kya haseen sitam,
Tum rahe na tum, hum rahe na hum.


Jayenge kahaan, soojhta nahin,
Chal pade magar raasta nahin.
Kya talaash hai, kuchh pataa nahin,
Bun rahe hain dil, khwaab dumbadam.

Waqt ne kiya kya haseen sitam,
Tum rahe na tum, hum rahe na hum.




No comments: