Sunday, May 20, 2007

Justju Jiski Thi

Justju jiski thi usko to na paaya humne
Is bahaane se magar dekh li duniya humne

Tujhko ruswa na kiya, khud bhi pashemaan na hue
Ishq ki rasm ko is tarha nibhaaya humne

Kab mili thi, kahaan bichhdi thi, humein yaad nahin
Zindagi tujhko ko bas khwaab mein dekha humne

ae adaa aur sunayen bhi to kya haal apna
umr ka lambaa safar tae kiya tanha humne

Justju jiski thi usko to na paaya humne...

No comments: